Sunday, 11 March 2012


Gum sum nigahon se

Muhubat ki nazakat ko smajnay ki zarorat hai
dunya taqaza ishq karti hai teri gum sum nigahoo se
 
______________________________________________
 
Terey sans ki khushboo ab bhi mujh me rehti hai...

"SANSON" se mil ker "SANSEIN" chalein teri kahin per bhi,,
Terey "SANS" ki khushboo ab bhi mujh me rehti hai.....


Tu "BHOOL" Gia hoga muj ko main kon thi,,
Per teri "YAAD" Sanam ab bhi mujh me rehti hai...

Jo "HUM" ne "TUM" ne mil ker bitae they "LAMHEY"
Un "LAMHON" ki "MEHEK" ab bhi mujh me rehti hai..

Hathon me "HATH" tham ker mera "MANZIL" ki thi moayan,,
Tere "LAMS" ki "CHAHAT" Ab bhi mujh me rehti hai...

Terey "KADMON"  k nishan pe ab bhi roz chalti hon,,
Guzrey "RASTEY" ki dhool ab bhi mujh me rehti hai..

Labon se Lab milney ki chah ab bhi yad ho ge tujhe,,
Terey Labon ki chahat ab bhi mujh me rehti hai...

"DHOOAN" sa phel gea her simt terey janey k baad,,
Terey chorney ki "KASAK" ab bhi mujh me rehti hai..

Jo milney ka hota"IMKA'AN" hum bula lete tujh ko,,
Tuj se milne ki "CHAH" ab bhi mujh me rehti hai..

Daikhti rehti hon aty jaty tere "GHER" ke Raah,.
Mazi ki wo "DAASTAN" ab bhi mujh me rehti hai...
__________________________________________
 
Matam ki fiza

Maatam ki Fizah Hai Shehar-E-Dil Mein aLi 
Mujh Mein Koi Shakhs Mar Gaya Hai
_______________________________________
 
Badla wafa ka

BADLA WAFA KA DAINGAY BARI SADGI SAI HUM
TUM HUM SAI ROOTH JAO GAI AUR ZINDAGI SAI HUM
   
 ______________________________________________
 
Gharyaan judai ki

maheene wasl ki garhio ki surat urrte jate hain 
magar gariya judai ki guzarti hai maheeno mai
___________________________________________

 Kaha bhi tha

Wohi hoa na bicharny py bat aa puhnchi, . . . . . . . . . 
Kaha bhi tha k purany hisab rehny do.
_______________________________ 

No comments:

Post a Comment